Tuesday 23 July 2013

Mera Akelapan:-

Meri Zindagi bhi ajib se Doraahe par khadi hai. Ek taraf wo Gham Jaha main Apni Zimmedaariyon min Bandha pata hun aur dusri taraf apne us saathi k kho jaane ka dard jise main toot kar prem kiya aisa lagta hai Maano jivan Chakki ke Do Paaton ke bich Fans kar rah gaya ho jehan main har din Pista rahta hun aur meri Aatma Sisak-Sisak kar Ashru Dhara Bahati rahti hai,Kabhi kabhi to meri Aatma mujhse Yaachna karti hai..Kahti hai Tum mujhe apne is Nashwar Sharir se hamesha ke liye nikaal do Wah Bechain ho kar kahti hai ki main tumhare saath rah kar Thak chuki hun mujhe Please apne Lubhawne Sapno se Azaad kar do. Phir Main Usse maafi mangta hun aur kahta hun ki tum mujhse chhod kar mat jaao main tumhe ye Vishwaas dilata hun ki mera PYAAR lout kar Aayega, Mera Pyaar to bahut Bhola hai bahut hi pyaara hai Bas wo ROOTH gaya hai mujhse!!! Aur meri Aatma mujh par Hansti huyi aur nafrat ki nazron se dekhti hai aur kahti hai ki bas Teri yahi Jhuthi Chahat aur tera ye Beintahan Pyaar aur teri ZID mujhe Mazbur karta hai k main TUJHE CHHOD kar CHali Jaaun phir TUJHE dard na hoga aur tere AAANKHON me AANSSON ki nadiyan Khatma ho jaayegi hamesha k liye

Aur main sochta hun ki meri AATMA Sach keh rahi hai , Is Akelepan se achha hai ki main Apne Jism se apni AATMA ko hamesha ki liye AZAAD kar dun

Ehsaas Alam "Tufail" 
INSAAN jab kisi ko apne pure dil se chaah leta hai to wah use kabhi bhula nahi pata.. Har ek pal uski yaad aati hai.. Bahut dard hota hai.. Zindagi mout se bhi bat tar lagne lagti hai..

Pata nahi kyon Main us se ab bhi bahut hi jyada pyaar karta hun..Deewanon ki tarah lekin use ab bhi khouf hai pata nahi kyon.. ?Shayad isliye ke uske aas paas ke logon ne meri ek aisi TASWEER banayi Jise usne sach maan liya..

Ye kaisa pyaar tha ye kaisi chaahat thi ke usne Mujhse ek baar bhi jaan ne ki koshish na ki ke SACH kya hai?

Kya Mohabbat aisi hoti hai.. Jehan log ek jhatke me apne PYAAR ka haath chhod dete hain sirf isliye ke Logon ne jhutil dalilen din....

Kya Mohabbat aisi hoti hai jehan Apne LOVE par faith na kar ke Duniya ke kahi suni baaton par Yaqin kia jata hai...

Agar Aisa hai to YA KHUDA mujhe is PYAAR se Azaad kar de...
Tu mujhe pal-pal mat maar...
Aur mujhe phir se hansna sikha..
Meri Ninden Louta de.. Mera sukun mujhe De-De...

Meri Sar ki nasen Jo fat ti hain Dard se kabhi kabhi KHUDA us se bhi muje nijaad dila..

Mujhe meri Khushiyan Louta de..

Mujhe mera Housla louta de...

Aaameen...

.......EHSAAS........
KALYUG KA PREM!...

EK samay that jab Premi-Premika ko 2 Sharir aur Ek Aatma ke Example se jan jata tha, Ek asim Prem sirf Prem hi hota tha, Un 2no ke bich ek Deewanapan, Bechaini aur Ek Roohani Aanand ka Athaah Samandar hua karta tha Jisme 2no Premi 2 Hanson ki Jodon ki tarah Gote Lagate aur athkheliyan Khela karte the, Jahan Koi Waaden Nahi,Koi Kasme Nahi,Koi Laalach nahi, Koi Ladayi-Jhagde nahi wahan to sirf Premi Premi ki ek Sachchi Tadap Hoti thi Duniya ki saari chahton se bahut Dur.



Lekin Aaj to Prem ka Defination hi badal chuka hai, Aaj Ki Yung Generation PREM ki pahli sidhi is shart ke Saath Chadhti hai ke Hum Prem to Karegen Lekin SHAADI nahi, Kyohn ke wo band kamre ka PREM chaahti hain, Wah har wo sukh aur moh ko ji lena chaahte hain PREM ke ghane aur jhute parde ke Pichhe, Lekin is parde ko Duniya ke Saamne Hatane ki Himmat unme nahi hoti, aur jab Kabhi Saty Ke Zameen par in Jodon ko La kar Khada kar bhi Diya Jaaye to PREMA ka Sahi Defination bhi inki Zubaan se nahi Nikal pata aur Sara PREM dhara ka Dhara Rah jata hai.

Had to Tab hoti hai Jab in 2no ko alag kar diya jaaye aur kisi ek ke Dimaag mein Dher saari Galatfahmiya Daal di jaayen to wo Saathi Ek pal mein apne Premi Ka aisa Dushma Ban jata hai maano usne kabhi apne Premi se Prem kiya hi na ho.

Aakhir keha Gaya wo PREM jo Kabhi 2 Aatmaaon Ka Milan Mana jata tha

Waah Re KALYUG ka PREM