Monday 13 May 2013

One Message to All on the completion of one month of this page("One Day Marriage"--- http://www.facebook.com/OneDayMarriage

Main ye soch soch kar thak chukka hun ki , Hume ye ZINDAGI kyon mili hai ? Kya isliye ki hum ise NAFRATON ke samandar me dubo kar khatm kar den? Kya isliye ki dusron ke QABR par apne khushiyon ke phool ugaayen?kya isliye ki dusron ke aansuon me dub kar hum apni kaamyaabiyon ka moti TALAASH Karen? Kya isliye ki apne hi bhayion ke khoon se apne hi libaas ko rang kar ZINDAGI ko khushnuma banane ka dhong Karen? Kya isliye ke kisi MAA ki kokh ko suni kar den? Kya isliye ke kisi BAAP ke aankhon me hamesha ke liye udaasiyon ka samandar daal den? Kya isliye ke kisi behan kisi bhayi ke maasum dil ko round daalen???

Nahin mye zindagi isliye nahin mili bilkul nahin… ZINDAGI naam hai ek dusre ke aansuon ko ponchhne ka … ZINDAGI naam hai apne khushiyon ko baantne ka… ZINDAGI naam hai dusron ke Gham me sharik hone ka…ZINDAGI naam hai muhabbat aur khulus ko har ek insaan ke dilon me utaarne ka …ZINDAGI naam hai muhabbton ke us samandar ka jehan nefraton ki koi jagah nahin …zindagi naam hai us MAA ka jo apne bachchon ko kabhi taklif nahin de sakti …thik isi tarah hame chahiye ki hum INSAANIYAT ko kabhi taklif na den …. Hum sab ek dusre se jude hue hain agar hum kisi ko taklif dete hain to us ka DARD hum tak zarur pahunchega aaj nahin to KAL...

From my Diary .. Ehsaas Alam "Tufail" (Author of "One Day Marriag")
Salaam to All

Humari zindagi KHUDA ka diya hua ek nayaab TOHFA hai, aur Shukr hai Parwardigaar(GOD) ka ki usne is Tohfe ke andar bhi kayi behtarin aur NAYAAB tohfe HUM  insaano ko de rakha hai,Inhi Tohfon me sabse UMDA(best) aur sabse Upar agar koi tohfa hai to wah hain Hamare MAA-BAAP,zindagi ki chichilati DHOOP ka wah ghana darakht jehan HUM sukun paate hain!!
 Waqt ki beraham aandhiyan jab hame bedardi se roundti hain aur hamari aankhen DAB-DABA jaati hain, Dil toot kar bikharne lagta hai tab Ek mazbut haanth(Parents) hame thaam lete hain aur OOHHHH!! un hanthon ko THAAM kar hum kitna sukun mehsus karte hain.... JInke dilon me hamare liye MOHABBATON k siwa kuchh b nahi hota, Bahut Taklif hoti hai jab hum in mazboot haanthon ko hamesha hamesha k liye kho dete hain :'(:'(:'(:'(:'( ......Meri UNgliyan kaampne lagti hain jab is mouju(topic) par likhne ki koshish karta hun... lekin main aapse rupbaru hun... ek aise duniya se rubaru hun.. Jo INSAAN ke sachche EHSAAS ko samajh sakte hain,
From My Diary:-- Ehsaas Alam "Tufail" (Author of "One Day Marriage")
Ajib hai ye DIL ki basti meri EHSAAS
Hai abaad bahut ye par HumKhayaal koi nahi

From My Diary by Ehsaas Alam "Tufail"

Sunday 12 May 2013

Part of My Novel "One Day Marriage"


Ek ajib sa Ehsas hota hai jab main ek kore se kaagaj par apni tasweer in shabdon ki shakl me banaane ki kosis karta hun ..ya fir computer ke screen ke saamne baitha key board par dourti apni ungliyon ki madad se apne aankhon ke saamne apne sachche wajud ko Dhire dhire khara hota dekhta hun aisa lagta hai jaise main apne RUH se baaten kar raha hun aur is pal-pal badalte manzar me kabhi aise mouke aate hain ki mera pura wajud kaampne lagta hai aur mere andar baitha dard ka tufaan mere do dab dabaati aankhon se bechain ho kar baahar nikalne ko majbur ho jata hai aur we kore kaagaj jo na jane kab se pyaase then .. aur jise maine zindagi ke kaee rangon se rang chuka hun bhingti chali jati hain .. ya fir key board ke daman par girte garm pani ke katre use eka ek saham kar rukne ko majbur kar deti hain aur kabhi kabhi ek hi key milon dur tak dourti chali jati hain tab us key ke saathi unglin ko kuch ehsaas ho ta hai aur phir achanak saari ungliyan pure key board par itne tezi se dourne lagti hain ki pura key board laraj kar rah jata hai...

By Ehsaas Alam "Tufail"
Part of my Novel "One Day Marriage"

Jab main khud ko akela pata hun aur jab mere andar ajib si aandhiyan chal rahi hoti hain jab main mehsus karta hun ki meri aakhne rona chahti hain jab main mehsus karta hun ki mere honth kuch hansi ke pal talaash karna chaahte hain to main in sabdon ke aagosh me khul kar rota hun aur jab ye shabd mere honton par ajib se sarsarhat chhor kar gujarti hai to ye honth khul kar muskurate hai aur tab ye shabd mujhe housla deti hai aur main apne saamne apne gham ke aankhon me aankh daal kar kabhi na khatm hone waali baate karta hun …aur mere bilkul paas baithi huyi KHUSHI jisne kabhi mere saath khubsurat se lamhe gujaare then meri pure wajud ko apne surkh honton se chumti huyi saamne baithe GHAM ko todne ki koshish karti hai.